Posts

Showing posts from July 29, 2012

Ek Yehi Roshni Imkaan Mei Hai

Ek Yehi Roshni Imkaan Mei Hai Tuu Abhi Tak Dil-e-Veeran Mei Hai Shor Barpa Hay Teri Yaadon Ka Ronaq-e-Hijar Bayabaan Mei Hai Pyaar Aur Zindagi Se Lagta Hai Koi Zinda Dil-e-Be-Jaan Mei Hai Aaj Bhi Terey Badan Ki Khushbuu Terey Bhejay Howay Guldaan Mei Hai Zindagi Bhi Hay Meri Aankhon Mei Mout Bhee Deeda-e-Hayraan Mei Hai Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se Ek Qaidi Abhi Zindaan Mei Hai...

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai, Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai, . Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday, Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai, . Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil, Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai, . Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen, Aise Logon Se Muraw?wat Bhi Nahi Rakhni Hai, . Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka, Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai??!!!!

Mohabbat Na Rahe Tou Phir Raha Kuch Bhi Nahi Kerta

Mohabbat Na Rahe Tou Phir Raha Kuch Bhi Nahi Kerta k Itni Taiz Aandhi Main Bachaa Kuch Bhi Nahi Kerta Wo Mujh Ko yaad Rakhna Ab Gawara Hi Nahi Kerta Main Jis Ko Yaad Rakhne K Siwa Kuch Bhi Nahi Kerta Kaha Tha Tujh Se Nadaan k Zulm Ki Taiz Baarish Main Siwaye Kachy Makano'n k Gira Kuch Bhi Nahi Kerta

Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain

Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain Jo log mere qad k barabar nahi aatay Ik Tum, k Tumhare liye Main bhe,Meri jan bhe Ik Main, k Mujhe TUM bhe muyassar nahi aatay Jis shaan se lotay hain ganwa kar Dil-o-Jan hum, Is tor to Haaray hue Lashkar nahi aatay Koi to khabar lay mere dushman-e-jaan ki, Kuch din se mere sehan main pathar nahi atay Dil bhi koi aasaib ki nagri hai ke MOHSIN Jo is se nikal jatay hain, murr kar nahi aatay

Nishan Tak Na Milain ge Meri Wafa K Usay

Nishan Tak Na Milain ge Meri Wafa K Usay, K Maine Rah Badl Di Hay Aazma K Usay! Kabhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula, Warq Warq Parha Main ne Dil Laga K Usay! Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua, Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna K Usay! Mujhy Yaqeen Hai Wo Laut Kar Bhi Ayega, Magr Udaas Hun Ab Raasta Dikha K Usay

Hamesha Sath Rehne Ki Aadat Kuch Nahi Hoti

Hamesha Sath Rehne Ki Aadat Kuch Nahi Hoti Jo Lamhe Mil Gaye Hain Jee Lo. Riyazat Kuch Nahi Hoti Jisey Mehroomiyan Mili Hon Wohi Jaan Sakta Hai Zubani Hosla, Jhooti Muravat Kuch Nahi Hoti Kai Rishton Ko Jab Parkha, Nateeja Aik He Nikla Zarorat He Sab Kuch Hai, Mohabbat Kuch Nahi Hoti Kisi Ne Choor Kar Jana Ho To Phir Choor He Jata Hai Bicherna Ho To Sadiyon Ki Rafaqat Kuch Nahi Hoti Taaluq Toot Jaye To Safeene Doob Jaate Hain Ye Sab Kehne Ki Baatein Hain, Haqeeqat Kuch Nahi Hoti

Ae SAQI Suno Faryad Meri - NS

Ae SAQI Suno Faryad Meri Kabhi Dunya Thi Aabad Meri Me Prem_Nagar ka Basi Tha 0r Pyar Ka Itna Aadi Tha Sans B Pyar Se Chalti Thi Dharkan B Geet Sunati Thi Na Khana Peena Ishq Siva Na Chalna Phirna Ishq Bina Jivan Me Har Su Rang Hi Rang Har Pal Me Jenay Ki Tarang Phir Sapna Mera Toot Gaya Wo Dais B MujhSe Chhoot Gaya Ab Tanha Tanha Ghomta Hun Jenay Ka Sahara Dhondta Hun Ae SAQI Suno Faryad Meri Kabhi Dunya Thi Abad Meri

Ajab sanjoog hai jaana - Milady

Ajab sanjoog hai jaana Ye kaisa jog hai jaana Baray borhay batatay thay kaee qisaay sunatay thay Magar hum mantay kab thay Ye sab kuch jantay kab thay Ye batain zikar k qabil bhala gardantay kab thay ana k takht pay bethay Humain maloom hi kab tha Anaa k takht say oper Bohat saree bulandi par Kahin pariyon k jhurmut mein Teray pairoon ki payaal mein Teray chotay say gaoon mein taree zulfoon ki chaoon mein sitary chand suraj waalay hana raqs kartay hain hamain maloom he kab tha taray qadmon ke aahat per gulabi muskarahat per teray hontoon ke jumbish per teray sir kay ishray per sada-e-dolbarana per negaha-e-qatilana per jafa-e-mehrmana per ada-e-qatalana per chaaman kay phool saray is tarhan say dhayan daytay hain zara say wasl kay jhansay main apni jaan daytay hain hamian kab ilm tha jana teray paykar say dhul kar chaandani har so bikhrtee hai shab-e-mehtab ke doshezgi kaisay nikhrtee hai tere

Nice pics of where I'm Headin

Image
Nice pics of where I'm Headin A beautiful and extremely serenic place, but every coin has a flip side and so are the perils......

Dard E Tanhaai - MP3

Dard E Tanhaai - MP3 A true one, felt like its got every word I need, so here it just for you Listen: Like It, Download It

Chal IRFAN apne Gaaon main...

Chal IRFAN apne Gaaon main.... Yahan uljhey Uljhey Roop Buhat..... Per Asli Kamm, Behroop Buhat...... Is Pairr k Neechey kya Rukna.... Jahan Sa`aey kamm, Dhoop Buhat..... Chal IRFAN apne Gaaon main..... Bethein ge Sukh ki Chhaaon main... Kyun Teri Aankh Sawaali Hai...? Yahan har Ek baat Niraali hai... Is Dais baseira Mat karna.... Yahan Muflis hona Gaali hai.... Chal IRFAN apne Gaaon main.. Jahan Suchey Rishtey yaaron k.... Jahan Vaadey Pakkey Pyaaron k... Jahan Sajda kare Wafa Paaon main.... Chal IRFAN apne Gaaon main.....

Mujhe Ehsas-e-ulfat Tum Einayat Kyun Nhi Karte?

Mujhe Ehsas-e-ulfat Tum Einayat Kyun Nhi Karte? Meri Eizzat To Karte Ho Mohabat Kyun Nhi Karte? Ye Saare Log Kehte Hain K Tum Chanchal Tabiyat Ho, Magar Tum Saamne Mere Shararat Kyun Nhi Karte? Jo Apni Guftugu Mein Phool Tum Takseem Karte Ho, Kabhi in Pholoon Ko Mujh Pr Nichaawar Kyun Nhi Karte??

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do -- Kaash

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do, Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do! Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain, Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do! Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao, Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Do! Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki, Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do, Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe, Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do! Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujKo, Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do!

Bas yoon hi rasmi rasmi sa

Bas yoon hi rasmi rasmi sa ik be-mafhoom taruf tha us nay mera number mang lia phir ik din telefone kia phir fone kia ik rooz thi barish zoroon per badal garjay, bijli chamki phir bondain barseen khirki per tab us ka telefone aaya be sakhta main nay us se kaha barsat main tanhai ki saza kyon deti ho kyon kerti ho tum fone mujhe kuch lamhoon tuk wo chup se rahi phir kehnay lagi jo aap ka dheema lehja hai mujhe be-haad acha lagta hia awaz jo aap ke hoonton se tashna kanoon tuk aati hia mujhe us ki yaad delati hia

Hum Ne "ULFAT" Ka Bharm Sab Se Juda Rakha Hai

Hum Ne "ULFAT" Ka Bharm Sab Se Juda Rakha Hai, Goya Seene Mein Tujhe "DIL" Ki Jagah Rakha Hai, Dil Yeh Chaahe Ke Tu Kabhi "BADNAAM" Na Ho, Dekh Zikar Tera Hai Magar Naam Chupa Rakha Hai, Mere Jis Haath Se Kiya Tha Tu Ne "MUSAFA", Dhoya Hi Nahi Honton Se Laga Rakha Hai, Ab Main Samjha Tere "RUKHSAR" Pe Till Ka Matlab, "DOULT-E-HUSN" Pe Darban Bitha Rakha Hai, "JUDA" Ho Gaye Hain To Phir Kiya Hua, "Teri "WAFA" Ko Seene Mein Saja Rakha Hai...!

Kisi Sabab Say Agar Bolta Nahin Hoon Main

Kisi Sabab Say Agar Bolta Nahin Hoon Main To Yoon Nahin Ke Tujhey Sochta Nahin Hoon Main Main Tum Ko Khud Say Juda Kar Ke Kis Tarah Daikhoon Ke Main Bhi Tum Hoon Koi Doosra Nahin Hoon Main Mairey Badan Ki Har Deewar Mein Anaa Rakhi Hai Main Khud Bana Hoon, Banaya Huwa Nahin Hoon Main Mairey Wajood Ke Andar Mujhey Talaash Na Kar Ke Iss Makaan Mein Aksar Raha Nahin Hoon Main Main Ekk Umar Say Khud Ko Talashta Hoon Magar Mujhey Yaqeen Nahin, Hoon Bhi Ya Nahin Hoon Main.

Pata Nahin Kaunsay Halaat Say Majboor Tha

Pata Nahin Kaunsay Halaat Say Majboor Tha Woh Lone Jo Apni Chahaton Main Mashoor Tha Woh Dil Band Dil Daar Dil Ruba Dil Nasheen Mere Dil Ka Chain Mere Aankhon Ka Noor Tha Mere Shanay Per Uskee Ghangoar Ghata Zulfain Ek Waqt Main Uski Khushboo Say Makhmoor Tha Pathar Ankhain Bejaan Wujood Majzoob Kergia Woh Dil Nawaz Jub Mere Nigah Say Door Tha Kub Tak Is Ujaar Dil Ko Tassallian Dun Schaa? Mere Chahat Ke Siwa Rab Ko Kuch Manzoor Tha                                                                                                         -Lone

Your wish is my command -- Teri mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge

Your wish is my command -- Teri mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge Listen to it: Like It, Download It

Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai,

Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai, Barish Ke Har Qatre Se Awaz Tumhari Aati Hai. Badal Jab Garajte Hain, Dil Ki Dharkan Badh Jati Hai, Dil Ki Har Ek Dharkan Se Awaz Tumhari Aati Hai. Jab Tez Hawayein Chalti Hai To Jaan Hamari Jati Hai, Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai.

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata

Titliyon k mausam main

Titliyon k mausam main nochna gulabon ka reet iss nagar ki hai aur janay kab se hai sheher k ye bashinde nafraton ko bo ker bhi intazar kerte hain fasl ho mohabbat ki bhool ker haqeeqat ko dhoondna sarabon ka reet is nagar ki hai aur jane kab se hai abhi tum naye ho na isi liye pereshan ho aasman ki jaanib iss tarha se mat dekho aafatain jab aani hoon tootna sitaroon ka reet iss nagar ki hai aur jane kab se hai khamshi mera sheva guftagoo hunar uss ka meri begunahi ko loag kese manain gay baat baat per jab k maangna hawalon ka reet iss nagar ki hai aur jane kab se hai ajnabi fizaoon main ajnabi musaafir se apne har ta'aluq ko daayemi samajh lena aur jab bichar jana... mangna duaaoon ka reet is nagar ki hai aur jane kab se hai

Haseen Titliyon Ko Sataya Nahi Karte

Haseen Titliyon Ko Sataya Nahi Karte, Kabhi Pariyon Se Dil Lagaya Nahi Karte, Zulm Karte Hai Aksar Yehi Husn Wale, Inko Chahat Ka Nagma Sunaya Nahi Karte, Tod Dete Hai Dilko Sada Hi Sitamgar, Aur Wajah Bewafayi Ki Bataya Nahi Karte, Mehekte Rahe Hai Ye Dilke Chaman Mein, Magar In Pe Haq Bhi Jataya Nahi Karte, Jalna Hai Ulfat Ki Rasmon Mein Lekin, Parwane Shamma Ko Bujhaya Nahi Karte, Mohabbat Hai Kya Ye mujh Se Puchho, Kabhi Raah-E-Wafa Ko Bhulaya Nahi Karte...

Aik shararat karte hain.....

Aik shararat karte hain..... aao mohabbat karte hain... hansti aankhon se keh do... darya bhi hijrat karte hain... kuch dil aese hain jin par.... hum bhi hukumat karte hain... zinda rehna hai dushwar....... chalo aao himmat karte hain... wese hote nahi hain log jesi hum chahat karte hain.... aksar apne aap se hum...... teri shikayat karte hain.... aik baat kehna chahte hain k '' JAANA '' hum tum se mohabbat karte hain.... jee haan..... hum tum se mohabbat karte hain......

Ranj De Kar Malal Karte Ho

Ranj De Kar Malal Karte Ho Tum B Saajan Kamal Karte Ho.. Dekh Kar Poch Liya Haal Mera Chalo Kuch To Khayal Karte Ho.. ... Shehar-E-DiL Me Ye Udasiyan Kaisi? Ye B Mujh Se Sawal Karte Ho.. Mrna Chahen To Mar nhi Sakte Tum B Jeena Muhaal Karte Ho Ab Kis Kis Ki Misaal Don Tum Ko Har Sitam Be-Misaal Karte Ho....!!

Nahi hon main kisi ka bhi nahi hon

Nahi hon main kisi ka bhi nahi hon ager khud apne jaisa bhi nahi hon kabhi aise bhi din ate hain mujh par k khud ko milne jata bhi nahi hon main logoon se bohat darta hon lekin ju rub hay uss se darta bhi nahi hon bohat hi dukh hua yeh jaan ker aaj k main tu apne jaisa bhi nahi hon main apni hadd main rehta hon hamesha phir iss hadd se nikalta bhi nahi hon bicha daita main khud ko unko khatir mager dukh hay k rasta bhi nahi hon jahan paishaani pe koi harf aye main aise dar pe jhukta bhi nahi hon Ali main kya hon k her rooz khud se ju kehta hon woh kerta bhi nahi hon

Larzison Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Larzison Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi Dono Insaan Haan Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi, Tu Jafa Ki Main Wafa Ki Raah Par Hoon Kamzan, Pichhe Mud Kar Dekhta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi, Tu Mujhe Main Tujhe Ilzaam Deta Hoon Har Dam, Apne Man Mein Jhankta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi, Maslihat Ne Kar Diya Dono Mein Paida Iktilaf, Warna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi, Badgumani Saher Mein Kisne Phaila Di Jab Ke, Ek Dusre Se Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi, Jaane Mohsin Tu Bhi Tha Ziddi Ana Mujh Mein Bhi Thi, Dono Kud Ser The Jhuka Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi...

Samjhta nahi ye dil isko samjhane chale aao

Samjhta nahi ye dil isko samjhane chale aao do dilon k faisle mittane chale aao, junone ishq main pagal hogae hum apni bahon main mujhe samane chale aao, ... na door reh kar tarpao na dil ko tarsao apna ke apnaiyat dikhane chale aao, mera ishq sacha hai mera eatbar kar lo mera ishq mera piyar samjhne chale aao, ♥

Aao... or na socho

Aao... or na socho. soch ke kia paao gey.. jitna bhi samjhey ho. itna hi pachtaao gey. Aao.. or na socho.. tum ehsas ki jis manzil per ab pohnche ho. wo meri dekhi bhali hai. jane bhi do. is ka kab tak sogg manana.. yeh dunia andar se kion itni kaali hai.. Aao..kuch ab jeene ka saman karen hum. such ke hathon,,,hum ne jo shakal paaye hai.. jhoot ke hathon. woh mushkil asaan karen hum. tum meri ankhon me ankhen dal ke dekho. phir me tum se saari jhuti qasmen khaaun. phir tum woh sari jhuti baten dohrao. jo sab ko acchi lagti hen. jesey... wafa karne ki baten.. jeene ki... marne ki baten.. hum dono yun waqt guzaren. .me tumko kuch khuwaab dikhaun. tum mujhko kuch khuwaab dikhao. jinki koi taabeer na ho. jitne din yeh mail rahe ga.. dekho acha khel rahe ga. or kabhi dil bhar jaye to. kehdena tum.. beet gaya milne ka mausam. Aao. or na socho... soch ke kia pao gey...

Main Titli Ko Sula Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do

Main Titli Ko Sula Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do, Main Jugnoo Ko Jaga Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do ! Kahan Aaghaz Hota Hai, Kahan Anjaam Hota Hai, Huner Saarey Sikha Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do ! Mujhey Itni Mahaarat Hai Ke Main Saada Say Lafzon Mein, Tumhein Dilkash Bana Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do ! Mairi nam-naak Nazron Ko Na Daikho Tum Haqaarat Say, Main Tum Ko Bhi Rula Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do!