Alamaton ki kahani

Alamaton ki kahani sunai thi usne,
Qayamaton ki kahani sunai thi usne.

Vo itna chahta tha mujhko bekhabar tha mai,
Museebaton ki kahani sunai thi usne.

Vo ho raha tha kisi doosre ka, phir na hua,
Haqeeqaton ki kahani sunai thi usne.

Jo usko logon ne samjhaya usne mana nahin,
Naseehaton ki kahani sunai thi usne.

kahan kahan se nikalna pada hai bach ke use
Azeeyaton ki kahani sunai thi usne

Tamam ishq ke dushman the uske charon taraf,
Fazeehaton ki kahani sunai thi usne.

nishato kaif ka saya tha uske chehre par
masarraton ki kahani sunai thi usne

Nazar me uski jo aaya tha mai, sabab ke liye,
Nazakaton ki kahani sunai thi usne.

Baleegh husn ki tafseer usne yun kar di,
Malahaton ki kahani sunai thi usne.

Chaman ka chand ka aur mera zikr usne kiya,
Latafaton ki kahani sunai thi usne.

‘Irfan’ raat ko usne mujhe na sone diya,
Mohabbaton ki kahani sunai thi usne.

Comments

Popular posts from this blog

The Navy Call List - Military Phonetic Alphabet

Male Machoism??? Crazy Crap

WTF - Yes you guessed it just right