Tarahi Ghazal

Tarahi Ghazal,
Aaj jo hai mujhmen kaife maikashi kaise kahun
Aaj saaqi ne pilai aur na pee kaise kahun

qatle dil hai ek taraf aur husne jalwa ek taraf
dilkushi ko tum batao dilkashi kaise kahun

usne is qisse ko apne tak hi rakhne ko kaha
ab main uski aankh men kyon hai nami kaise kahun

wasl ki shab zulfo rukh ka khel maanikhez hai
isko tareeki kahun ya roshni ,kaise kahun

Hosh tashreehe jamale yaar se udne lage
aor uske baad kya halat hui kaise kahun

Ishq main anjaam par kab kiski rehti hai nazar
daimi hai ye khushi ya aarzi kaise kaise kahun

wo chala jaye na keh dene se mujhko chod kar
Razdaron se bhi lutfe aashqi kaise kahun

Doston aadaabe qurbat ki saubat kya kahun
Saath uske kaise guzri zindagi kaise kahun

Tajrabe mujhko suhail usse nahin ache magar
kar liya hai usne ye wada yunhi kaise kahun

Comments

Popular posts from this blog

The Navy Call List - Military Phonetic Alphabet

Male Machoism??? Crazy Crap

WTF - Yes you guessed it just right